Tuesday, 6 January 2015

Lyrics Of Adhoore ( Mary Kom )

Geela geela bas paani palkon pe reh gaya
Dhire dhire sapna wo aankhon se beh gaya
Thoda thoda kar yaadein saari kho rahiin
Toota sa pal ik haath mein reh gaya
Hum hain adhure, lamhein adhure
Sawaal adhure, jawaab adhure
Woh khwaab bhi adhoora reh gaya

Geela geela bas paani palkon pe reh gaya
Dhire dhire sapna wo aankhon se beh gaya
Thoda thoda kar yadein sari kho rahiin
Toota sa pal ik haath mein reh gaya

Tanhaai haathon me le waqt khada hai
Ye dil bhi seene me behosh pada hai
Aaj aake mausam saare humko satate hain
Bejaan hai hum haare aur ye rulaate hain
Har pal andhera reh gaya..

Neela neela bas dil ka zakhm wo reh gaya
Zara zara kar saara hausla beh gaya
Thoda thoda kar yaadein saari kho rahiin o..
Toota sa pal ik haath mein reh gaya

Hum hain adhoore, lamhein adhoore
Sawaal adhoore, jawaab adhoore
Wo khwab bhi adhoora reh gaya

Geela geela bas paani palkon pe reh gaya
Dhire dhire sapna wo aankhon se beh gaya
Thoda thoda kar yaadein saari kho rahiin
Toota sa pal ik haath mein reh gaya

Lyrics Of Daawat-e-Ishq ( Daawat-e-Ishq )

Ho.. chaand chaahun, na chakora
Na falak ka.. tukda tukda tukda
Noor chaahun, na main hoori
Na pari sa.. mukhda mukhda mukhda
Sang sang chal de
Sang sang chakh le
Meetha meetha har sukh har dukhda
Usey khwabon se jagaaun
Usey baahon mein sulaaun
Sar-aankhon pe bithaun
Usey haathon se khilaaun, ta-umar

Dil ne dastarkhaan bichhaaya
Haan Dil ne dastarkhaan bichhaaya
Daawat-e-Ishq hai
Dil ne dastarkhaan bichhaaya
Daawat-e-Ishq hai
Hai qubool to aaja jaana
Daawat-e-Ishq hai
Hai qubool to aaja jaana
Daawat-e-Ishq hai, Ishq Hai

Dil ne dastarkhaan bichhaaya
Haan Dil ne dastarkhaan bichhaaya

(Sargam)

Baadalon ko chun ke, bun ke
Kaaleen banaaya hai tere liye
Taaron ko todkar ke,
tashtari mein sajaya hai tere liye

Chaand taaron ko kyun sataya
Tilmilaya hai mere liye
Jaaun jidhar bhi khill khill udhar hi
Dhoop nikalti hai mere liye

Haay baatein teri chaashni si meethi meethi
Aaye haaye.. baatein hi daawate bhi meethi meethi

Tu aaye to meri pheeki se mehfil mein lazzate laut aaye
Hasrat-e-lazzat jo hai teri daawat to bolo bhala kaun aaye
Arey keh de tu jo, saari deghon ko aa koodu dil ki jo dum bhi main de doon apna*

Dil ne dastarkhaan bichaya, ha ha ha...
Dil ne dastarkhaan bichaya
Daawat-e-Ishq hai
Dil ne dastarkhaan bichaya
Daavat-e-Ishq hai
Hai qubool to aaja jaana
Daawat-e-Ishq hai
Hai qubool to aaja jaana
Daawat-e-Ishq hai

Daawat-e-Ishq hai
Daawat-e-Ishq hai
Daawat-e-Ishq hai ji
Daawat-e-Ishq hai

Haan sharbat mein ghuli mohabbat
Daawat-e-Ishq hai
Tauba tauba buri milawat
Daawat-e-Ishq hai
Arey kismat se milti hai shirqat
Daawat-e-Ishq hai
Aji be-fijool ki kisko fursat
Daawat-e-Ishq hai
Tunak nahi zara chakh toh le
Dhadak nahi zara dum toh le
Jud jaane de zara taar se taar ko
Zara soch samajh ik baar toh
Na soch ke, na hosh se
Tujhe mehmaan banaya ha humne dil se

Haan hai qubool ye humne maana
Hai qubool ye humne maana
Daawat-e-ishq hai
Jee huzoor humein manzoor ye
Daawat-e-ishq hai
Jee huzoor humein manzoor ye
Daawat-e-ishq hai, Ishq hai

Aha aha.. Aha aha..
Daawat-e-ishq hai
Daawat-e-ishq hai
Daawat-e-ishq hai
Daawat-e dil ne dastarkhaan bichaya
Daawat-e-ishq hai

Daawat-e-ishq hai
Daawat-e Daawat-e-Ishq hai
Daawat-e Daawat-e-Ishq hai
Daawat-e Daawat-e-Ishq hai

Ishq hai, ishq hai
Daawat-e-ishq hai
Daawat-e Daawat-e-Ishq hai
Daawat-e Daawat-e-Ishq hai

Ishq hai..

Monday, 5 January 2015

Lyrics Of Baal Khade ( Khoobsurat )

(Boy, boy, boy.....)

Baal khade jaise daambar laga rakhya..
Baal khade jaise daambar laga rakhya..

(Boy, boy, boy.....)

Iske gale mein padi sey bell
Ke saalo maanas sey
Baal khade, khade, khade
Jaise daambar laga rakha

Kardi kardi pant pehn reya
Kardi kardi pant pehn reya
Bush-shirt jaano to jail
Ke saalo maanas sey
Baal khade, daambar laga rakhya

Git-pit bole... angreji bhasa
Jung laagya loha dikhe kaansa
Git-pit bole.. angreji bhasa
Jung laagya loha dikhe kaansa

Sutta-sutta baat udaave
(Boy, boy, boy....)
Sutta-sutta baat udaave
Sutta-sutta baat udaave
Culture mein hai fail
Ke saalo maanus sey

Baal khade, khade, khade
Jaise daambar daambar daambar
dambar dambar (dambar, dambar..)
Baal khade jaise daambar laga rakhya
Iske gale mein padi sey bell
O saalo..
Re Iske gale mein padi sey bell
Ke saalo....
Ke saalo maanus sey

Lyrics Of Engine Ki Seeti ( Khoobsurat )

Engine ki seeti mein mharo bum dole
Engine ki seeti mein mharo bum dole
Le le le...

Engine ki seeti mein mharo bum dole
Engine ki seeti mein mharo bum dole
Dauda dauda re...
Dauda dauda re driver chal mat haule haule
Dauda dauda re driver chal mat haule haule
Thoda aur bhaga le
Driver chal mat haule-haule, le le le...

Engine ki seeti mein mharo bum dole
Engine ki seeti mein mharo bum dole

(breaths heavily)
Phak phak engine bol raha hai
Phak phak engine bol raha hai
Patri tharr tharr kaanpe (x2)

Kahaan rukegi, gaadi aakar
Kahaan rukegi gaadi aakar
Mann ye mera pooche
Engine jud jaaye
Engine jud jaaye mujhse aake kha hichkole
Le le le...

Engine ki seeti mein mharo bum dole
Engine ki seeti mein mharo bum dole
Dauda dauda re...
Dauda dauda re driver chal mat haule haule
Dauda dauda re driver chal mat haule haule
Thoda aur bhaga le
Driver chal mat haule-haule, le le le...

Dil ghabraaye har dibbe mein
Dil ghabraaye har dibbe mein
Jale pyaar ka khet
Kabhi kabhi toh lagta hai main hi hoon rail
wooo wooo....)))
Aisi meethi si, Aisi meethi si seeti bole
Kaanon mein ras ghole..
( r a s   g h o l e   k a a n o n   m e )
( b u m   d o l e . . . l e   l e . . . )

Engine ki siti me maro bum dole
Engine ki siti me maro bum dole
Dauda dauda re..
Chal mat haule haule..

Engine ki seeti mein mharo bum dole
Engine ki seeti mein mharo bum dole

Lyrics Of Dance Like a Chamiya ( Happy New Year )

Yeah..
Chammiya Style!

Naach ke dikha de zara chammiya style
Aankh tu mila le zara chammiya style
Get your body move in baby (chammiya style!)

Naach ke dikha de chammiya style
Aankh tu mila le zara chammiya style
Get your body move in baby (chammiya style!)

Kabhi kabhi saans mein kyun
Joan jaise hawaa chale
Moum sa jale shaam se ye badan
Kabhi kabhi aayine se main kahoon
Aur paas aa, baahon mein basaa
Choom le baankpan
Rahe na apne hi jismo par qaabu
Ragon mein jo hone lagi beqarariyan

Kamar pe tu rakh le haath
Behak ja tu mere saath
Ho ja zara naughty baby
Dance like a chammiya
Kamar pe tu rakh le haath
Behak ja tu mere saath
Main hoon teri hottie baby
Dance like a chammiya

Naach ke dikha de zara chammiya style
Aankh tu mila le zara chammiya style
Get your body move in baby
(chammiya style! chammiya style!)

Naach ke dikha de chammiya style
Aankh tu mila le zara chammiya style
Get your body move in baby (chammiya style!)

Dance like a Chammiya

Kabhi kabhi baarishon me bheegne ko jiya kare
Baahon mein bhare yaar ko raat bhar

Kabhi kabhi saamne wo baith kar dekhta rahe
Pyaar se kahe, paas aa pyaar kar
Haa.. subah-subah dardo se baate ho badan ki
Meri tarah aankhon mein jo ho khumariya

Kamar pe tu rakh le haath
Behak ja tu mere saath
Ho ja zara naughty baby
Dance like a chamiya
Kamar pe tu rakh le haath
Behak ja tu mere saath
Main hoon teri hottie baby
Dance like a chamiya aa aa..

Tera jhumka jaise lightning
Mere dil mein baj gaya thunder
Tu jahaan bhi jaaye
Main peeche peeche aaun
Bas rahunga tere under (x2)

Haa.. subah subah dardo se baate ho badan ki
Meri tarah aankhon mein jo ho khumariya

Kamar pe tu..
Kamar pe tu..
Kamar pe tu rakh le haath
Behak ja tu mere saath
Ho to zara naughty baby
Dance like a chamiya
Kamar pe tu rakh le haath
Behak ja tu mere saath
Main hoon teri hottie baby
Dance like a chamiya

Naach ke dikha de zara chammiya style
Aankh tu mila le zara chammiya style
Get your body move in baby
(chammiya style! chammiya style!)

Naach ke dikha de chammiya style
Aankh tu mila le zara chammiya style
Get your body move in baby (chammiya style!)

Lyrics Of Bol Beliya ( Kill Dil )

Bol beliya, bol beliya, bol beliya
Bol beliya, bol beliya, bol beliya

Aaj gali se (bol beliya, bol beliya..)
Jab woh guzre (bol beliya, bol beliya..)
Darwaaze par (bol beliya, bol beliya..)
Diya jalaa ke..

Darwaze khol ke rakhna
Koi laut aaye to
Ho rasta bhool na jaayein
Koi laut aaye to
Saari saari raatein jagna (bol beliya, bol beliya..)
Galiyan roshan rakhna (bol beliya, bol beliya..)
Ho aane wala laut na jaaye

Aaha.. aaj gali se (bol beliya, bol beliya...)
Jab tum guzre (bol beliya, bol beliya...)
Diye ne dekha (bol beliya, bol beliya...)
Aankh jhapak ke..
Sadiyan taap koyi ab ghar aaya hai
Ankhiyan sooj gayi hain jee bhar aaya hai
Saari saari raatein jagna
(bol beliya, bol beliya...)
Galiyan roshan rakhna (bol beliya, bol beliya...)
Ho aane wala laut na jaaye (bol beliya, bol beliya...)

Ho laut ke aa, ki shiqayat na rahe
Bewafaai ki rivayat na rahe
Laut ke aa, laut ke aa..

O aazma le, ki shikaayat na rahe
Aake jaane ki rivayat na rahe
Aazma le, aazma le..

Arrey aate aate aate aate mud ke na takna
Jaate jaate jaate jaate ruk ke takna
Ho aaj gali se (bol beliya, bol beliya...)
Jab woh guzre (bol beliya, bol beliya...)
ho ho darwaze par (bol beliya, bol beliya...)
Diya jala ke (bol beliya, bol beliya...)
Darwaze khol ke rakhna koi laut aaye to
Rasta bhool na jaayein koi laut aaye to
Saari saari raatein jagna
(bol beliya, bol beliya...)

Galiyan roshan rakhna (bol beliya, bol beliya..)
Aane wala laut na jaaye..

Sunday, 4 January 2015

Lyrics Of Tum Todo Na Dil Mera ( I )

Na koi mausam tumse accha
O.. na koi manzar tumse accha
Haan rehna hai sang re..
Tum jo mile.. (tum jo mile)
Tu lagi zindagi ye nayi nayi
Ab na tum bin jee paaunga

Tum todo na dil mera
Nahi jeena yun tere bin (x6)

O tum bin main dekho toh
Kya se kya ho baitha
Tum ko jo khoya toh, khudko bhi kho baitha
Mujhko jo dhoonde, khudko main paa lunga
Main tere badle mein jannat bhi na lunga
Tum todo na dil mera...

Sapno ke bin aankhon ki jaise keemat koi na
Waise hoon main tere bin, meri chahat koi na
Dardon ke ek kehna hai
Saansein jisko kehta hoon
Teri soorat marham hai
Dooji raahat koi na

Chanda kaise haasil hoga ye bataa
Phoolon ka qisa se kya hai waasta
Tu na dekhna khwaab resham ke
Tere na aansu hai gham ke

Tum todo na dil mera
Nahi jeena yun tere bin (x2)

Tum todo na dil mera
Nahi jeena yun tere bin
Nahi jeena tere bina...

Bin tere bemaani hai meri zindagani
Na todo dil mera...

Saturday, 3 January 2015

Lyrics Of Zid Title Song ( Zid )

Chaahun tujhe khud se siva
Mujhse zyada tu hai mera
Dil ki yeh zid bhi hai
Hoke rahe tu bhi mera

Aa main ho jaaun tu, nazrein mila
Main tujhko nazar aaun tujh mein bhi

Chahun tujhe khud se siva
Mujhse zyada tu hai mera
Dil ki ye zid bhi hai
Hoke rahe tu bhi mera

Mera hai tu bas hai mera
Kahin bhi ja mujhme hi aa
Patthar hoon main
Aa tod ke tu aaina bana mujhe zara

O.. chahun tujhe khud se siva
Mujhse zyada tu hai mera
Dil ki yeh zid bhi hai
Hoke rahe tu bhi mera

Aayega jo apne darmiyaan
Gir padega uspe aasmaan
Haan.. haan re haan
Aa kare gunaah chal kahin
Hum koi farista toh nahin
Na.. na re na

Kyun na ho jaaye sang
Hum khud hi mein khatam

Chaahun tujhe khud se siva
Mujhse zyada tu hai mera
Dil ki ye zid bhi hai
Hoke rahe tu bhi mera

Lyrics Of Tu Zaroori Hai ( Zid )

Aisa laga mujhe pehli dafaa
Tanha main ho gayi yaara

Ho.. aisa laga mujhe pehli dafaa
Tanha main ho gayi yaara
Hoon pareshan si main
Ab ye kehne ke liye
Tu zaroori sa hai mujhko zinda rehne ke liye
Ho.. tu zaroori (tu zaroori)
sa hai mujhko (sa hai mujhko)
zinda rehne ke liye (zinda rehne ke liye)

Aisa laga mujhe pehli dafaa
Tanha main ho gaya yaara
Hoon pareshan sa main
Ab ye kehne ke liye

Tu zaroori sa hai mujhko zinda rehne ke liye
Ho.. tu zaroori (tu zaroori)
sa hai mujhko (sa hai mujhko)
zinda rehne ke liye (zinda rehne ke liye..)

Dhadke aankhon mein dil mera
Jab qareeb aaun tere
Mm.. dekhoon main jab bhi aaina
Haan tu hi roobaroo rahe mere

Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori (tu zaroori)
sa hai mujhko zinda rehne ke liye
aa.. tu zaroori (tu zaroori)
sa hai mujhko (sa hai mujhko)
zinda rehne ke liye (zinda rehne ke liye)
Tu zaroori..

Maangu na koi aasmaan do sitaron ka jahaan
Banja tu mera humsafar na mujhe chahiye koi muqaam
Dil hi kaafi hai tera mere rehne ke liye

Tu zaroori sa hai mujhko zinda rehne ke liye
Ho.. tu zaroori (tu zaroori)
aa hai mujhko (sa hai mujhko)
zinda rehne.. (zinda rehne..)
Tu zaroori (tu zaroori)
sa hai mujhko
zinda rehne ke liye
Tu zaroori..

Lyrics Of Aaj Phatte Tak Nachna ( Dolly Ki Doli )

Aaj nahi karna kisi baat pe bhi gaur
Nachungi itna ki todungi floor
Aaj nahi karna kisi baat pe bhi gaur
Nachungi itna ki todungi floor

Tune gaaliyan de rakhi
Maine daaru pee rakhi
Tune gaaliyan de rakhi
Maine daaru pee rakhi

Arrey beth ja re taau ulti seedhi mujhe bakk na
Chaahe Police bula le, aaj phatte tak nachna
Jo karna kara le aaj phatte tak nachna

Chaahe Police bula le, aaj phatte tak nachna
Jo karna kara le aaj phatte tak nachna
O o o.. aaj phatte tak nachna
O o o.. aaj phatte tak nachna

Aaj hone de dhoom dhadakka
Sun le mausi sun le kaka
Do chaar hi ghoont mein poori botal kheechungi

Loud kara de DJ sound
Main ghoomun tere all around
Main masti mein aaj saari naachungi
Waste na ab chance kar
Mood mein aaja aaj dance kar
Sharam ki matki phod de
Ab toh sharafat chhod de

Tune gaaliyan de rakhi
Maine daaru pee rakhi
Tune gaaliyan de rakhi
Maine daaru pee rakhi

Arrey beth ja re taau ulti seedhi mujhe bakk na
Chaahe Police bula...
Jo karna kara...
Chaahe Police bula le, aaj phatte tak nachna
Jo karna kara le aaj phatte tak nachna
Chaahe Police bula le, aaj phatte tak nachna
Jo karna kara le aaj phatte tak nachna

Pee ke main to dead ho gayi
Buddhi meri fat ho gayi
Koi sambhalo mujhko main neeche na gir jaaun
Jab dholiya dhol bajaave
Laaj sharam meri udd jaave
Koi bhi ye samajh na paave kisko samjhaaun

Laakh jatan din raat karun
Tujhse milan ki baat karun
Ab to vele jee naiyo lagda
Dance bhi tere saath karun

Tune gaaliyan de rakhi, maine daaru pee rakhi
Tune gaaliyan de rakhi, maine daaru pee rakhi
Are beth ja re taau ulti seedhi muje pakk na
Chaahe Police bula aa..
Chaahe karna kara
Chaahe police bula le aaj phatte tak nachna
Jo karna kara le, aaj phatte tak nachna

Oo chaahe police bula le aaj phatte tak nachna
Jo karna kara le, aaj phatte tak nachna
O o o... Aaj phatte tak nachna
O o o oo... Aaj phatte tak nachna