Monday, 5 January 2015

Lyrics Of Main Baawra ( Kill Dil )

Koi atka hua hai pal shayad
Waqt mein pad gaya hai bal shayad
Dil agar hai to dard bhi hoga
Iska koi nahi hai hal.. shayad?


Aa..
Bujh gaye taare o yaara
Aasaman kaala lage re
Kuch bhi nazar naa aavey
Ankhiyon me jaala lage re
Dil waali naukri ne maara
O yaara, dil waali naukri ne maara

O.. meetha lage ab bhi wo yaaro
Dardon ki tokri utaaro
Dil waali naukri ne maara
O yaara, dil waali naukri ne maara

Sweeta.. o Sweeta
Tere bin koylon se kaale kaale huey din
Tere bin, tere bin, tere bin

O zindagi uljha hua sauda hai
Umrein leta hai ik pal de kar
Main bawra, baawra, main baawra (x2)

Ho.. marne se mujhe koi dar to nahin
Haan tere bin mushqil hogi
Jeena bhi pade toh bhi mujhko
Haan tere bin mushqil hogi
Seene mein ishq ka
Ik bujha sa diya
Main toh leke chala

Zindagi uljha hua sauda hai
Umrein leta hai ik pal de kar
Main bawra, baawra, main bawra
O... wo..

{.. sargam ..}

Shaam hai toh shaam sahi
Raat na hone dena
Aas ki saans chalti rahe
Maat na hone dena
Jin aankhon mein neend nahin hai
Unn aankhon me khwaab tha koi
Khwaab wo, khwaab tum khone na dena
Baawra, baawra, baawra..

Zindagi uljha hua sauda hai
Umrein leta hai ik pal de kar
Main bawra, baawra, main baawra

Zindagi uljha hua sauda hai
Umrein leta hai ik pal de kar
Dil bawra, baawra, Dil baawra..

Lyrics Of Sajde ( Kill Dil )

Ek khwaab ne aankhein kholi hain
Kya mod aaya hai kahaani mein
Woh bheeg rahi hai baarish mein
Aur aag lagi hai paani mein


Rab labbha papiya nu
Jeehna change kaam na change lagde
O kiven pind kajiye
Assi chol paake vi nange lagde

Aa.. aa.. aa..
O...

O zindagi yun gale aa lagi hai, aa lagi hai
Koi khoya huaa barson ke baad aa gaya

O pheeke-pheeke the din-raat mere, saath mere
Chhuaa tune toh jeene ka swaad aa gaya
Ek tarah ke awaara thhe
Ek tarah ki awaargi
Deewane toh pehle bhi thhe
Ab aur tarah ki deewaangi

Sajde bichhawan ve
O gali gali, o gali gali, o gali gali
Jis sehar vich mera yaar vasda
Kamaana painda ae.. oh khadke oh khadke
Ho itthe Rab na koi udhaar labhda

Ek khwaab ne aankhein kholi hai
Kya mod aaya hai kahaani mein
Woh bheeg rahi hai baarish mein
Mmm.. aur aag lagi hai paani mein

Khwabi khwabi si lagti hai duniya
Aankhon mein ye kya bhar raha hai
Marne ki aadat lagi thi
Kyu jeene ko jee kar raha hai

Pehle to begaani nagri mein
Hum ko kisi ne poochha na tha
Saara sehar jab maan gaya toh
Lagta hai kyun koi rutha na tha

Sajde bichhawan ve
O gali gali, o gali gali, gali gali
Jis sehar 'ch mera yaar vasda
Kamaana painda ae.. oh khadke oh khadke
Ho itthe Rabb na koi udhaar labhda

O.. zindagi yun gale aa lagi hai, aa lagi hai
Koi khoya huaa barson ke baad aa gaya
Ek tarah ke awaara thhe
Ek tarah ki awaargi
Deewane toh pehle bhi thhe ab
Aur tarah ki deewangi

Sajde bichhavan ve
O gali gali, o gali gali, o gali gali
Jis sehar 'ch mera yaar vasda
Kamaana painda ae.. o khadke o khadke
Ho itthe Rab na koi udhaar labhda (x2)