Thursday 8 January 2015

GHULAM ALI Jahaan Talak Bhi Ye Sehra lyrics

jahaan talak bhi ye sehra dikhaai deta hai
meri hi tarah se akela dikhaai deta hai


na itani tez chale saraphiri hawa se kaho
shajar pe ek hi patta dikhaai deta hai


ye ek abr ka tukada kahaan kahaan barase
tamaam dasht hi pyaasa dikhaai deta hai


wo alawida ka manzar wo chhalakati palaken
pas-e-gubaar bhi kya kya dikhaai deta hai