Thursday 8 January 2015

GHULAM ALI Jan Tasawuur Mera Chupke Se lyrics

jab tasawwur mera chupke se tujhe chhu aaye
apni har saans se mujhko teri kushbu aaye


mashagala ab hai mera chaand ko takte rahana
raat bhar chain na tujh bin kisi pahalu aaye


ghantiyaan bajne lageen hijr ke sannaate se
gunagunaata hua aaise mein agar tu aaye


jab kabhi gardish-e-dauraan ne sataaya mujhko
meri jaanib tere phaile huye baazu aaye